Aj hafta tha. Joon or Arsalan dono ghr mai he thy. Arsalan is wqt ghr k kitchen mai mojood tha or poore ghr mai biryani ki khushbu pheli hui thi.
Chutti wale din khana bnana Arsalan ka pasandeeda mashghala tha or is wqt iski sari tawajah masala bhunne main markooz thi jb Joon ek hath se mobile kan se lgaye or dusre hath se shirt ke button bnd krta kamre main dakhil hua.
214Please respect copyright.PENANAZtEH1MJcL0
Wo kali jeens pr kali he shirt pehne kahin jane ke liye tayar lgta tha.
214Please respect copyright.PENANA7Ld4vPVP0b
“Han main aath (8) baje tk pohnch jaunga. Han thk hai.” Phone bnd kr k Joon kitchen main rkhi ek chair pr beth gaya nazren samne khre Arsalan pr thin.
214Please respect copyright.PENANAZh0VlonrFt
“Itni tayari kis baat ki hai? Kya yumi shadi ke liye maan gai?”
214Please respect copyright.PENANAywNhDi8fZo
Yumi or Joon pichle six years se sath thy.
214Please respect copyright.PENANAE5RGfIUkkx
“Tum kyun mera dil jalane wali batain krte ho?” Joon ko Arsalan ka ye shadi wala mazak blkul pasand nhe tha.
214Please respect copyright.PENANASFaXZGqjf9
“Birthday hai uski dost ki wahan jaa rha hun.”
214Please respect copyright.PENANA7LT5vpKY1k
“Tum ne mujhe pehle kyun nhe btaya ke tumhain aj jana hai maine socha aj tumhari farmaish poori kr deta hun” Arsalan ne bura sa mun bna kr Joon ki taraf dekha.
214Please respect copyright.PENANAscaTSMCK8x
“Kya tum biryani bna rhe ho? Tumne mujhe pehle btaya hota ke aj tum meri teen mahine se ki jane wali farmaish poori krne wale ho to main kabhi kahin na jata” Joon ne bre dramai andaz main dukh or hairat sath zahir ki.
214Please respect copyright.PENANANm9wF0GEcx
“Jese maine subha jate waqt tumhain btaya he nhe tha ke aj main biryani ka saman sath leta aunga.”
214Please respect copyright.PENANAvSKz9J7dSF
Joon k drame ka Arsalan pr koi asar na hua.
214Please respect copyright.PENANA0aRoTq39B3
“Acha thk hai tumnain btaya tha or main bohat khush bhi tha lekin phr tumhare jane ke baad yumi ne mujhe party ka btaya ab btao main kya karta. Mujhe dono mohabaton main se ek mohabbat ko chunna pra na.” Joon ab jacket pehen rha tha.
214Please respect copyright.PENANAJVgFraKn2a
“Matlab tumnain pakistani mohabbat pr korean mohabbat ko foqiyat di.” Arsalan ne masnooi hairat ka izhar kiya.
214Please respect copyright.PENANA6AGgMw33pg
“Meri mohabbat choro. Biryani to main aakr bhi kha lunga. Aj wese bhi mera cheat day hai. Tum ye btao ke aj ka din to tum apne baqi doston ke sath guzarte ho phr aj ghr mai kese?” Joon ne tafteeshi andaz mai Arsalan se pucha.
214Please respect copyright.PENANADrbbv7AAbg
“Aj alishba ne ghr ane ka kaha hai. Is ko kam ke silsile main kuch madad chaiye thi. Maine socha aj ghr pr hun to tumhari bhi farmaish poori kr deta hun.” Arsalan ka jawab sun kr Joon ke chehre pr maini khez muskurahat phel gai.
214Please respect copyright.PENANA9Zar2iZDdx
“Acha to is liye aj Arsalan iftikhar ko apne is masoom se dost ki farmaish poori krna yad agaya.” Joon akhir Arsalan ko tang krne ka moqa bhala kese jane deta.
214Please respect copyright.PENANA6dQm19Y4QZ
Arsalan ne bs isse ghoori se nawaza or biryani main akhri baar chamach chala kar kitchen se bahar nikalta sofa pr jaa kr beth gaya.
214Please respect copyright.PENANArDrLipKzBo
Wo subha se kamon mai masroof raha tha or ab kafi thk chuka tha.
214Please respect copyright.PENANAXCprTW3TxC
Arsalan ko jata dekh kr Joon bhi is ki taraf lapka.
214Please respect copyright.PENANAyyAk4zzPDO
“Wese Alishba achi larki hai.university main bhi wo kis tarah tumhari tawajah haasil krne ki koshish krti rehti thi pr tumnain lift he na krwai or ab us ke liye khane bhi bnaye jaa rhe hain wah.”
214Please respect copyright.PENANAkIx4Tc8ie9
Abhi 8 bjne main waqt tha or ye waqt Arsalan ko tang kr k guzara jaye isse achi baat Joon ke liye kya ho skhti thi.
214Please respect copyright.PENANAdBDFn8sbRh
Joon Arsalan ko saat (7) saal se janta tha or Alishba se bhi iski achi khasi waqfiyat thi. Wo teeno ek he university se prh kr nikle thy. Joon hamesha Arsalan ko btata aya tha ke Alishba usse pasand krti hai pr Arsalan hamesha is baat ko Joon ki ghalat fehmi keh kr taal diya krta tha.
214Please respect copyright.PENANA5jzGs223fM
“Akhir main tumhain jis larki ke baare main bhi btata hun. Tum usko mujhse kyun jorne lgte ho? Hum ek he project pr kaam kr rhe hain isliye wo yahan arhi hai.” Arslalan ne Joon ki baton se tang aakr lambi wazahat pesh ki.
214Please respect copyright.PENANAFPKPUfnbdt
“Mere dost kb tk tum akele rhogy? Mujhe dekho main yumi ke hone ki waja se kitna khush rehta hun.”
214Please respect copyright.PENANAqFlQmQ6JUK
Joon ne apne face pr haseen muskurahat laa kr Arsalan ko jese apni khushi dikhane ki koshish ki.
214Please respect copyright.PENANAJoaE7ymKDA
“Tumhain dekh kr he main is nateeje pr pohancha hun ke main aese akela he thk hun.” Samne se tanz kiya gaya.
214Please respect copyright.PENANAtuqGmSG0iT
“Han thk hai jb tumhain mohabbat hogi na phr puchunga tum se.” Arsalan ke tanz ka bura manaye bgahir Joon bahar jane ke liye darwaze ki janib brh gaya.
214Please respect copyright.PENANApYVd8dYwvS
“Meri dusri mohabbat khatam mat krdena. Mere liye bacha zaroor dena.”
214Please respect copyright.PENANA6Hz5P4Ojfi
Darwaza bnd hone se pehle Joon ki awaz ghr main gunji or phr hr taraf khamoshi chaa gai.
214Please respect copyright.PENANARexS6M1PtM
Ek lambi sans khaarij krta Arsalan hathon main mun chupyae kuch der betha raha phr uth kr nahane ki garz se apne kamre ki jaanib brh gaya. Alishba kisi bhi waaqt aaskhti thi.
214Please respect copyright.PENANADHAnV1SxHk
214Please respect copyright.PENANAgi2B5tAHSf